Thursday 24 March 2022

Samay ki Dhaar!!!

Naye saal ki nayi aakanshanyien 

isshtehaar sunate hai hume nayi subah ki khabre aur usse judi baatien 

kuch aisi baatien jo mann dehlaade 

aur kuch aisi jinhe sirf mann behlaa dene ke liye hi bataya gaya hai

mann me nayi ulhaas aur tarang hai par

shaam savere koi baat hai jo mann me baithi hui hai 

naa keh paati hun, naa khud tak rakh paati hun... 


Raahe kitni hi hai aage jinhe khud ke liye chunna hai

kuch dur tak le jaaye toh kuch manzil se bhatkaaye 

nirantar aage chalte rehne par ek mod par lagta hai ke nahi pata kahaan jaa rahi hun

jo kar rahi hun woh sahi hai bhi yaa nahi 

dekh lenge kya hi hoga yeh khayaal rehte hue 

shaam savere koi baat hai jo mann me baithi hui hai 

naa keh paati hun, naa khud tak rakh paati hun... 


shabdh nahi bana paati bas kayi baar aasun beh jaate hai 

akelepan ki sooyiyaan bahot chubhti hai 

shikayat khudh se karu yaa dusron se 

yeh bhi tey nahi kar paati theek se 

shaam savere koi baat hai jo mann me baithi hui hai 

naa keh paati hun naa khud tak rakh paati hun... 


sab kehte hai samay ki dhaar, rait ki tarah hai

iss waqt me jyaada khush yaa maayus naa hona

yeh waqt bhi chala jaayega 

yeh keh ke khudko behlaa bhi nahi paati 

shaam savere koi baat hai jo mann me baithi hui hai 

naa keh paati hun naa khud tak rakh paati hun!!!