Sunday 20 September 2020

Asmanjas Ki Paribhasha!

Shaam ka samay pure din ka ant hai ya raat ki shuruvaat, 

jaise kisi sikke ke do pehluon ke beech ka antar ho...

apne jeevan ki tulna me sochti hun ke iss antar me hi jee rahi hun kahin,

jitna  kathin hai ek pehlun tak pahunchna, utna hi aasaan hai iss antar me hona...

kabhi lagta hai ke asmanjas ka yeh daur kitna lamba chalega,

koi din aisa bhi hoga jab ek faisley ka saamna kar, aage badhna hi hoga...

shayad aaj woh din ya raat ke beech vyatit hote samay ki vyatha aur peedha bhog rahi hun.. 

apne hi bane sawal-jawaab ke jhund me gum hun,

apne hi bane sawalon me kahin jawaab khoj rahi hun!!!